Search Poetry
Wasta Bhi Rakhte Hain Rabta Bhi Rakhte Hain
Wasta Bhi Rakhte Hain Rabta Bhi Rakhte Hain
Hum Mager Mohabbat Mein Zabta Bhi Rakhte Hain
Kon Kab Bicher Jaye Kis Ko Ye Khaber Logo
Is Liye To Chahat Mein Fasla Bhi Rakhte Hain
Sath Chalte Rehte Hain Dur Tak Mager Phir Bhi
Log wapsi Ka Ik Rasta Bhi Rakhte Hain
Toot Kar Mohabbat Karna Bhi Jante Hain Hum
Aur Faraib Khane Ka Hosla Bhi Rakhte Hain
Abhi to naaz kar lo tum zawal aaye to loat aana
Abhi to naaz kar lo tum zawal aaye to loat aana
Bichar k mujh se milne ka khayal aaye to loat aana
Likhon ga mein ghazal koi hamare ishq par jana
Ghazal parhte hi dil mein gar sawaal aaye to loat aana
Meri nakam ulfat ki haqiqat jab samajh jao
Tumhare dil mein gar koi malaal aaye to loat aana
Kabhi meri wafaon par bhi behad naaz tha tum ko
Tumhain darphesh phir wo misaal aaye to loat aana
Tumhari yaad ne surkhi meri aankhon mein bhar di hai
Tumhari aankhon mein bhi rang laal aaye to loat aana
Nahi ho tum mere paband na ye shart hai Sagar
Kabhi jo yaad koi guzra saal aaye to loat aana
Subscribe to:
Posts (Atom)