Aao ab rasam e mohabbat yon nibhai jaye
bich diwar jo aaye wo giraai jaye
martaba naam hai kia zaat se kia lena hai
shart rishton mein wafaon ki hi lagai jaye
khush guma ho k milein gair se har apne se
kuch nazar aaye burai to sudari jaye
hoon gay majbor jo yun chor chale jate hain
jane walon se ye tohmat bhi hatai jaye
dil bhola de jo aadawat aur aanayein apni
raah bichron ki bhi aasan banai jaye
aaj hasrat se jo aankhon k diye bhojte hain
ek umeed nai in mein jalai jaye
ab k uthre Ae Khuda chaand yon har aangan mein
zindagi eid ki manind manaai jaye
apni duniya se nikal aao agar tum Abrak
eik duniya yahan ab mil k banai jaye
0 Komentar