Search Poetry

dar e sakha bhi abhi tak tera khula hi nahi

dar e sakha bhi abhi tak tera khula hi nahi
hamaray lab pe to youn bhi koi dua hi nahi

hamain to aik usi ki talab hi jati nahi
k jiska aik muhabbat pe uktifa hi nahi

abi ye loag magan hain haroof tolne main
abhi to sheher ne lehja mera suna hi nahi

muje to youn bhi meri jaa se azeez ho tum
yeh baat alag hai koi tum sa dil ruba hi nahi

bas aik chora sa aangan, tumhari yaad aor main
mere makan main udaai ki intihaa hi nahi

bichar k muj se wo shayed bohot udaas rahay
kabhi main pehel usay chor kar gya hi nahi

wo chahta hai k bas us ki dastaras main rahon
usi k lab pe mere naam ki sadaa hi nahi

usay ab apne hi hathon ganwa k sochtay hain
hamara us k ilawa to koi thaa hi nahi
Previous
Next Post »
0 Komentar