Search Poetry
Merry Cristmas Wishes and SMS Messages in English
May This Year be more promising than the before!
Spread the Happiness all around you!
Its Christmas!
( Merry Cristmas )
The megic of Christmas is not the present,
but in his presence...
( Merry Cristmas )
I dont want much for Christmas. I just want the person
reading this to be healthy, happy and Loved.!
( Merry Cristmas )
May peace be yours Gifts at Christmas and
your blessings all your through!....
( Merry Cristmas )
May your Christmas and every ahead
sparkle with happiness and new surprises!!
( Merry Cristmas )
This Cristmas gifts fulfill your
all dreams by Santclause...
( Merry Cristmas )
May the peace and joy that Cristmas brings
always be with you and your family...
( Merry Cristmas )
It is Christmas in the Heart that puts
Christmas in the air... 'W.T.Ellis'..
( Merry Cristmas )
Christmas is cancelled
apparently, you told Santa that
you have been good this Year...
( Merry Cristmas )
Alone Shayari And Ghazals in Urdu Fonts
Haan!!!!!
Chaand Mujhy Acha Lagta Hai,
Kiyon Keh,
Hum Aik Sy Musafir Hain,
Humara Aik Sa Muqaddar Hai,
Main Zameen Par Tanhaa Hun,
Aor.......
Woh Aasman Par Tanhaa Hai...!!!
Raat Abhi Tanhai Ki Pehli Dehleez Par Hai,
Aor Meri Janib Apna Haath Barhati Hai...
Soch Rahi Hoon,
Haath Ko Thamoon...
Ya Phir.....
Zeena Zeena Teh Khaanon Main Utroon,
Ya Phir.....
Apny Kamry Main Thehroon...??
Chaand Meri Khirki Par Dastak Deta Hai,
Shayad Chaand Bhi Meri Tarah Tanhaa Hai...!!!
Suna Hai,
Is Muhabbat Main,
Bohat Nuqsan Hota Hai...
Jeeta Jagta Jeevan,
Ghamon K Naam Hota Hai...
Suna Hai,
Woh Chain Kho Kr Ab,
Sahar Sy Shaam Rota Hai...
Muhabbat Jo Bhi Karta Hai,
Bohat Badnam Hota Hai...
Suna Hai,
Is Muhabbat Main,
Kahin Bhi Dil Nahi Lagta...
Bina Us K In Nigahon Ko,
Koi Mosam Nahi Jachta...
Woh Jeevan Bhar Nahi Hansta...
Suna Hai,
Is Muhabbat Main,
Bohat Nuqsan Hota Hai...!!!
Tumhary Bin Raha Nahi Jaata,
Kiya Kahein, Kuch Kaha Nahi Jaata...
Gham-E-Janaan Main Lazzat-E-Gham Hai,
Gham-E-Duniya Ab Sahaa Nahi Jaata...
Zindagi Younhi Katt Rahi Hai Magr,
Ab Tamaasha Bana Nahi Jaata...
Loat Aao, Main Sadaayen Deti Hun,
Fasl-E-Gull Main Ab Jiyaa Nahi Jaata...!!!
Sad Ghazals in Urdu Fonts with Images
Agr Woh Meharbaan Hoti...
Agr Woh Meharbaan Hoti, To
Meri Aankhon Main Nami Hoti...
Na Mery Dil Ki Waadi Main
Khizaan Ka Qafila Rukta...
Main Apni Be-Noor Aankhon Main,
Sitaary Qaid Kar Deti...
Magr Aisa Woh Tab Kehti,
Jab Woh Meharbaan Hoti...
Meri Zakhmi Hatheli Par,
Woh Aik Phool Dhar Deti...
Mery Haathon Ko Woh,
Apny Haathon Main Ly Kar...
Yeh Kehti Thi,
Muhabbat Khushbu Hai,
Rang Hai, Sitara Hai Roshni Hai...
Qasam Mujh Ko Muhabbat Ki,
Mujhy Sab Sy Piyary Tum Ho...!!!
SunoOooOooo,
Apni Zindagi Hans Kr Basar Krna,
Nafraton K Rasty Pr Na Safr Karna...
SunoOooOoooo,
Wafa Na Ho To Muhabbat Adhoori Hai,
Muhabbat K Safar Main Wafa Ki Fikar Krna...
SunoOooOoooo,
Zamana Jitna Bhi Tumhara Hamdard Bany,
Zamany Ko Na Shareek-E-Safar Krna...
SunoOooOoooo,
Muhabbat Har Kisi Ka Muqaddar Nahi Hoti,
Mily Jo Muhabbat, To Us Ki Qadar Krna...
Aor SunoOooOoooo,
Apni Zidagi Hans Kar Basar Krna...!!!
Un Ko Bura Kiyon Kahun, Jo Mery Dil K Qareeb Thy,
Sahi Waqt Py Zarb Lagaty Thy, Be-Had Zaheen Thy...
Jab Bhi Kahta Tera Mera Janmon Ka Rishta Hai,
Us K Moonh Sy Lafz Sirf Aameen Nikalty Thy...
Laash To Pata Nahin Kis Mazloom Ki Thi,
Darbadar Phirta Hun Galiyon Mein Aawara Aajkal,
Kabhi Hum Bhi Uski Zulfon K Taly Makeen Thy...
Usy Be-wafa Keh Bhi Nahi Sakty Bhula Bhi Nahi Sakty,
Kabhi Woh Bhi Humary Dil-Nasheen Hua Krty Thy...
Umar Bhar Humari Ulfat Ko Thukraya Hai Us Ny,
Jab Hua Ehsaas, Tab Hum Tah-E-Zameen Thy...!!!
Collection Of Urdu Famous Ghazals
Tery Naam Sy Shifaa Ho...
Main Hawa Sy Larr Raha Hun,
Tujhy Kiya Pata Kab Sy...
Yeh Sahar Ki Sazishein Thi,
Yaa Phir Intiqam-E-Shab Tha...
Mujhy Zindagi Ka Sooraj Bhi,
Na Bacha Saka Ghazab Sy...
Tery Naam Sy Shifaa Ho Mujhy,
Koi Zakhm Aisa Ataa Kar Dy...
Agr Mily Kahin Ghalib,
To Usy Adab Sy Yeh Kehna...
Woh Jawaan Rutton Ki Shamein,
Ab Kahan Kho Gai Hain...!!!
Tum To Kehti Ho,
Tumhain Phoolon Sy Muhabbat Hai,
Magr Jab Phool Khilty Hain,
To Inhain Torr Leti Ho...
Tum Kehti Ho,
Tumhain Barish Sy Muhabbat Hai,
Magr Jab Barish Hoti Hai,
To Barish Sy Chhupti Phirti Ho...
Tum Kehti Ho,
Tumhain Hawaaon Sy Muhabbat Hai,
Magr Jab Hawaaein Chalti Hain,
To Khirkiyaan Band Kar Leti Ho...
Main Us Waqt Darr Sa Jata Hun,
Jab Tum Kehti Ho,
Mujhy Tum Sy Muhhabbat Hai...!!!
Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Akely Chorr Jaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty,
Humara Dil Jalaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Kaha Bhi Tha, Yaari Hai, Yaari Hi Rakho Is Ko,
Tamasha Jo Banaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Uthaty Ho Sar-E-Mehfil Falak Tak Humein, Lekin,
Uthaa Kr Jo Giraaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Koi Jo Puch Ly, Kiya Rishta Hai Ab Hum Sy,
To Nazrein Jhukaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Bikhar Jayen Andheron Main, Sahara Tum Hi Dety Ho,
Magr Phir Chorr Jaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...!!!
Best Collection Of Sad Urdu Ghazal for Facebook Pages
Woh Hi Gali...
Aaj Main Jab Younhi Achaanak,
Bin Chahy, Be-Khabar,
Chalty Chalty Usi Gali Main Geya,
Keh Jahan Pehli Baar,
Main Ny Tumhain Dekha Tha,
Aor Us Gali Main Pehli Baar,
Tum Ny Iqraar-E-Wafa Kiya Tha,
To Mera Dil Ajeeb Be-Qaraari Main Dharka,
Youn Laga Jesa Keh Tum,
Achaanak Hi Kisi Goshy Sy,
Sab Ranjishein Bhula Kr,
Mera Haath Thaam Logi...!!!
SunoOoOooo...
Mujhy Kehna Nahi Aata,
Keh Tum Bin Jeena Mushkil Hai...
Jo Dard Tum Dena Chahty Ho,
Mujhy Sehna Nahi Aata...
Tum To Reh Lo Gy,
Kisi Aor K Saath Bhi...
Par Main Kiya Karoon,
Mujhy Kisi Aor K Saath Rehna Nahi Aata...
Tum To Waqif Ho Na,
Mery Andaz-E-Guftgu Sy...
Mujhy To Kisi Aor Ky Saath,
Baat Karny Ka Saliqa Nahi Hai...
Dekho, Ab To Tum Loat Aao Na,
Mujhy Tumhary Bin Jeena Nahi Aata...!!!
Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...
Woh Kuch Sunta To Main Kehta, Mujhy Kuch Aor Kehna Tha,
Woh Pal Bhar Ko Jo Rukk Jata, Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...
Ghalat Fehmi Ny Baaton Ko Barhaa Daala Youn Hi Warna,
Kaha Kuch Tha, Woh Kuch Samjha, Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...
Kamaai Zindagi Bhar Ki Ussi Ky Naam Kar Di Mainy,
Mujhy Kuch Aur Karna Tha, Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...
Kahan Us Ny Suni, Meri Suni Bhi An-Suni Kar Di,
Usy Maloom Tha Itna, Keh Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...
Mery Dil Main Jo Darr Aaya, Koi Mujh Main Bhi Der Aaya,
Wahin Aik Rabta Toota, Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...
Usy Kuch Aor Sunaana Tha, Mujhy Kuch Aor Kehna Tha...!!!
Dard-E-Judaai Urdu Shayari Ghazals with Pictures
Tanhaai Ik Sazaa Hai, Yeh Aaj Mainy Jaana,
Dard Be-Intihaa Hai, Yeh Aaj Mainy Jaana...
Main Jo Rehta Hun Din Bhar Hajoom Main,
Kitna Tanhaa Hun, Yeh Aaj Mainy Jaana...
Satata Hai Yeh Raat Bhar Ka Akela Pan,
Phr Bhi Main Zinda Hun, Yeh Aaj Mainy Jaana...
Raat Ki Tareeki Main Chaand Ko Takta Hun,
Aor Chaand Ko Dekh Kar Yeh Sochta Hun Main...
Chand Bhi Akela Hai.....
Main Bhi Akela Hun.....!!!
Na Kuch Raha Paas Apny,
To Sambhaal Rakhi Hai Faqt Tanhaai..
Yeh Woh Saltanat Hai,
Jahan Ky,
Baadshah Bhi Main Hun...
Faqeer Bhi Main Hun...
Aor Har Faisly Ka...
Wazeer Bhi Main Hun...!!!
Yeh Chaand Sooraj
Ubhar Kar Doob Jaaty Hain,
Magr...
Yeh Kambakht
Dard-E-Judaai Tera...
Ubhar Kar Phir
Boobta Hi Nahi Hai...!!!
Urdu Sad Ghazals Collection For Facebook Pages
Karri Dhoop Main, Jalty Paaon Ki Tarah,
Tu Kisi Aor K Aangan Main Hai, Chhaon Ki Tarah,
Tu To Waqif Hai, Mery Piyar Ki Sachai Sy,
Phir Q Khamosh Hai, Pathar K Khudaon Ki Tarah,
Main To Khushbu Ki Tarah Sath Raha Hun Tery,
Tu Bhatakta Raha Bechain Hawaon Ki Tarah,
Tum To Masoom Rahy, Apni Adaaon Ki Tarah,
Zindagi Ko Hum Kaat Rahy Hain,
Qaid Main Milti Hui Sazaaon Ki Tarah...!!!
Main Jab Bhi
Qalam Uthata Hun,
Na Jaany Kab, Aor Kesy,
Koi Bhi Harf
Likhny Sy Pehly Hi,
Tera Naam Likh Deta Hun...!!!
Tumhara Har Ilzam Jayiz,
Tumara Har Gila Jayiz,
Tumhara Ruthna Jayiz,
Kuch Na Kehna Jayiz,
Tumhary Liye Yeh Sab Jayiz...
Phir Kiyon�??
Na Humara Ghum Jayiz,
Na Humara Baat Krna Jayiz,
Na Humara Ruthna Jayiz,
Na Hi Humari Khamoshi Jayiz,
Tum Bhi To Humary Dil Sy Puch Kr Dekho,
Kiya Humara Tum Sy Koi Rishta Nahi...??
Urdu Ghazals Collection Free Download for Her
Sunooo...
Jo Muskuraty Hain....
Unhain Bhi Rog Hoty Hain...
Bohat Majboor Hoty Hain...
Raatein Jaagti Hain Unki...
Duaaon Main Guzarti Hain...
Nigahein Bheegi Hain, Aor...
Palkein Bhi Larazti Hain...
Na Maazi Bhoolta Unko...
Na Koi Aas Hoti Hai...
Faqt Ik Piyaas Hoti Hai...
Gulshan Ki Baharon Py Sar-E-Shaam Likha Hai,
Phir Us Ny Kitabon Py Mera Naam Likha Hai...
Yeh Dard Musalsal Meri Duniya Main Rahy Ga,
Kuch Soch K Usny Mera Anjaam Likha Hai...
Jis Ny Meri Janib Kabhi Murr Kr Nahi Dekha,
Us Shakhs K Haathon Py Mera Naam Likha Hai...
Meri Har Saans Py Uska Hi To Naam Likha Hai...!!!
Masoomiyat Sad Hindi Poetry for Facebook Status
Na Jaany Kiya Masoomiyat Hai Us Chehry Main... Sahib,
Us Ky Manany Sy Ziyada Us Ka Rooth Jana Acha Lagta Hai...!!!
Us Ky Tabassum Ki Masoomiyat Par Na Ja,
Be-wafa Log Bary Fankar Hoa Krty Hain...!!!
Muhabbat Na Sahi Muqadma Hi Kr Do Mujh Par,
Kam-az-kam Tareekh Py To Deedar Hoga Tumhara...!!!
Zindagi To Bas Ab Khatam Hi Samjhun, Sahib
Tumahry Rawiyon Sy Ab Judaai Ki Mehak Aati Hai...!!!
Meri Chahton Py Shikwy, Tery Raabton Main Waqfy,
Han Yahi Nishaniyan Hain Tery Door Hony Ki...!!!
Chalo Bataon Tumhain Nishani Udaas Logon Ki,
Kabhi Ghaor Karna Yeh Hansty Bohat Hain...!!!
Kon Jeety Ga Un Sy Baaton Main,
Jin Ki Aankhein Kalaam Karti Hain...!!!
Main Ny Teri Yaadein Youn Sambhal Rakhi Hain,
Jesy Khilony Hon Mery Masoom Bachpan Ky...!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)


























































