Search Poetry

chalta phirta hua wo tum ne jo gham dekha tha

chalta phirta hua wo tum ne jo gham dekha tha
kon kehta hai k tum ne mujhay kam dekha tha

aina aaj uthaya to bohot rotay rahay
apni soorat ki jagah hum ne alam dekha tha

aaj ki raat wahi dard bhari utray gi
aj phir aapki ankhon ko jo num dekha tha

ab jo har baat pe rotay huye hans deta hai
janay us shakhs ne kis tarz ka gham dekha tha

thaam kar hath saleeqay se gira detay thay
sheher walon ka kayi baar karam dekha tha

ishq main do ka tassawur nahi ho sakta na
hum ne ik zaat main ik zaat ko zam dekha tha

teri yaad main kaaton rain piya

teri yaad main kaaton rain piya
gayi neend, gya sukh chain piya

teri aik jhalak tak lene ko
mere taras gaye do nain piya

main khwaab nagar k paar gayi
ik baar nahi har baar gayi

main ro ro jeevan haar gayi
muje teri judayi maar gayi

har simt khamoshi taari hai
aor hijr bhi har soo jari hai

har raat tere bin bhari hai
ab jindri tujh per vaari hai

muje dard milay anmol piya
main hasti bethi roll piya

kabhi mere dukh sukh phol piya
tu mera sanwal dhol piya

diya hum bhi jala lete, jo tum atay

diya hum bhi jala lete, jo tum atay
zara sa muskura lete, jo tum atay

kisi ko dekhne bilkul nahi detay
kaheen khud main chupa lete, jo tum atay

to phr ab kya hua jo roshni kam hai
koi jugnu bula letay, jo tum atay

ahar sehra mera ghar hai to phir kya hai
gali dil ki saja lete, jo tum atay

tumhain, tum bhi muyassar ho nahi patay
tumhain tum se chura letay, jo tum atay

hamain is dard main taskeen mil jaye
yeh hum tum se dua letay, jo tum atay

yehi malal mujhe bolne nahi deta

yehi malal mujhe bolne nahi deta
tumhara haal mujhe bolne nahi deta

bohot khushi main bohot hi udas rehta hon
ghamon ka kaal mujhe bolne nahi deta

tumhari yaad bohot cheekhti hai aa aa kar
koi khyaal mujhe bolne nahi deta

wo mere haq main bhi qufl e zaban torray ga
yeh ehtamaal mujhe bolne nahi deta

meri nazar se wo har baat jaan leta hai
yehi kamaal mujhe bolne nahi deta

main bolta to qasam se sheher pe chaa jata
koi vabaal mujhe bolne nahi deta

wo jab bhi puchta hai khwaab kiu sajatay ho
to yeh sawaal mujhe bolne nahi deta

herat e ishq se niklon to kidhar jaon main

herat e ishq se niklon to kidhar jaon main
aik soorat nazar ati hai jidhar jaon main

yeh bhi mumkin hai k har saans saza ho jaye
ho bhi sakta hai judayi main sanwar jaon main

youn musalsal muje taknay ki na adat dalo
yeh na ho aankh jo jhapko to bikhar jaon main

kya tere dil pe qayamat bhi bhala tootay gi?
gar tujhay dekh k chup chaap guzar jaon main

dekho anjaam to dene hain amoor e dunia
jee to karta hai tere paas theher jao main

thaam rakha hai jo tu ne to salamat hai badan
tu agar hath churra le to bikhar jaon main

jis qadar bigra hua hon main yehi sochta hon
kab tere hath lagon aor sudhar jaon main

kon hai bol mera, meri udaasi tujh bin
tu bhi gar paas na aye to kidhar jaon main

yeh meri umr faqat chaah main teri guzray
mar na jaon jo tere dil se utar jaon main

dil machalnay laga hai bolo kuch

dil machalnay laga hai bolo kuch
chaand dhalnay laga hai bolo kuch

dard majboor admi ban kar
hath malne laga hai bolo kuch

kon hai ban k mera saya jo
sath chalne laga hai bolo kuch

tum jo bolay to chain aya tha
dard talnay laga hai bolo kuch

jaa baja bikharti hai shab udas logon ki

jaa baja bikharti hai shab udas logon ki
ankh main utarti hai shab udas logon ki

badlon main rakhti hai dukh kayi zamanon k
der tak barasti hai shab udas logon ki

chup k aik takiye main ashk rotay rehtay hain
is tarah guzarti hai shab udaas logon ki

dard shab aseeron se khoob ishq karta hai
dard main nikharti hai shab udaas logon ki

be qaraar haalat main muztarib se is dil k
sehen main tehelti hai shab udaas logon ki

be kali k maray yeh din ka bain suntay hain
aah bharti rehti hai shab udas logon ki

meri har baat pe heran na hona pagal

meri har baat pe heran na hona pagal
kuch bhi ho jaye pareshan na hona pagal

jese main tootay huye khwaab liye phirta hon
is tarah tum kabhi veeran na hona pagal

log phir aor masayeb main dhakelain gay tumhain
har kisi k liye aasan na hona pagal

teri wusat muje taskeen aata karti hai
youn haray rehna beyabaan na hona pagal

mujh ko awaz kabi do gay to loat aon ga
mutmain rehna pareshan na hona pagal

aisay tanhai main reh kar na ganwana khud ko
apne hi wastay nuqsan na hona pagal

muhabbat thi ye nadaani nahi thi

muhabbat thi ye nadaani nahi thi
hamain to khud pe heraani nahi thi

mere dil se muhabbat thi usay bas
meri soorat ki deevani nahi thi

muhabbat main bari kathnaiyan theen
muyassar koi aasani nahi thi

bara hi muttaqi lehja tha uska
bas us ki baat yazdaani nahi thi

tumhari ankh num hone se pehle
hamain koi pareshani nahi thi

baqaa milti to tum ko sonp detay
hamari umer laafani nahi thi

tumhari yaad utaari hai door tak khud mein

tumhari yaad utaari hai door tak khud mein
udaas hone ki soorat nikaal li main ne

tum ao kaam sabhi kal pe daal deta hon
tumharay vastay fursat nikaal li main ne

nahi tha khwaab main bhi hosla bicharne ka
so khwaab se teri furqat nikaal li main ne

wo puch betha tha kya laye ho meri khatir
to jhat se sari muhabbat nikaal li main ne

zakhm saray hi bhar diye main ne

zakhm saray hi bhar diye main ne
sukh teri simt kar diye main ne

wo mere sung tha udas to phir
rabtay khatm kar diye main ne

dukh uthaye to apne saray sukh
us ki chokhat pe dhar diye main ne

ab tum aye ho khwaab lene ko
janay kis ko kidhar diye main ne

nochti theen badan teri yaden
in k nakhun kuttar diye main ne

ab tujhay subha tak sataye gi
raat k kaan bhar diye main ne

zain wo yaad bhi na rakhay ga
jitne ehsaan kar diye main ne

Sari duniya ki mohabbat se kinara kar k

Sari duniya ki mohabbat se kinara kar k

Hum ne rakha hai faqat khud ko tumhara kar k

be zabanon se kisi torr sadayen mangon

be zabanon se kisi torr sadayen mangon
shoq se apne liye roz sazayen mangon

tu bhi kiyun aik hi umeed lagaye rakhay
main bhi kab tak tere milne ki duayen mangon

shayed ab younhi andheron se nikal aaon main
sochta hon tere chehray ki zeyayen mangon

hijr ki dhoop karri jab bhi jalaati hai badan
main tarrap kar tere daaman ki hawayen mangon

pehle khud jurm e muhabbat ki sazayen chaheen
ab batao k main kis mouh se jazayen mangon

tu bhi kya sada hai logon pe yakeen karta hai
jaa teri kher rahay, rab se duayen mangon

meri yadein sambhal rakhtay na

meri yadein sambhal rakhtay na
kuch to mera khyal rakhtay na

is tarah cheekhne se kya hoga
koi khud main kamaal rakhtay na

wakay e roye thay meri khatir
apni ankhein to laal rakhtay na

dooriyan be sabab barheen apni
raabta to bahaal rakhtay na

pyara hai dilruba hai wo chahain nahi to kya karen

pyara hai dilruba hai wo chahain nahi to kya karen
phela hai chaar soo wohi sochain nahi to kya karen

nazon se paas aye ga, laadon se wo manaye ga
aisi adayen dekh kar, roothen nahi to kya karen

pucha tha us ne aaj yeh rotay ho kiu to yeh kaha
dukh wo jo be hisaab hain, bhoolen nahi to kya karen

wo koi chaand to nahi abr main jaa chupay ga jo
nazron se hatt na paye wo, dekhen nahi to kya karen

kehta hai bas juda hamain, saray sheher se ik wo shakhs
saray ho loag ab hamain parkhen nahi to kya karen

rag rag main dorta hai jo, sanso main jiska vird hai
jan se usay azeez tar, manen nahi to kya karen

Mohabbat kuch aalag si hai mujhe us se

Mohabbat kuch aalag si hai mujhe us se

Wo mere khayalon mein nahi duwaon mein rehta hai

sisak raha tha mera ik sawal tu chup tha

sisak raha tha mera ik sawal tu chup tha
raha tha dil ma yehi ik malal tu chup tha

udas karti gayeen wo teri udas ankhen
main poochta bhi raha haal chaal tu chup tha

main jab buland raha tu bhi hamkalam raha
so muj pe aan para jab zawaal tu chup tha

jo tera saani muje mil gya to shikwa kiu?
main dhoondta tha teri jab misaal tu chup tha

ab apne dard ka kiu kar dhandora peet'ta hai
main kar raha tha jo tab indamaal tu chup tha

mera dareeda badan dekh kar a ab rona
kaha tha kar le meri dekh bhaal tu chup tha

mere badan k tuje zakhm ab satatay hain
main dukh ki orhay huye jab tha shaal tu chup tha

tuje hi shaam o sahar ka hisaab detay huye
guzar gya tha mera aik saal tu chup tha

ye tere aor mere rabt k mitanay ko
zamana chalta raha aik chaal tu chup tha

hum ko to be haal kiya tha ishq k beri jogaan

hum ko to be haal kiya tha ishq k beri jogaan
kesi kesi baat bana li sheher k saray logaan

nazuk nazuk kam sin jindri, barson lambay sadmay
bin dekhay, bin sochay samjhay hashr uthaya rogaan

ab jo hans bhi dein to pehron rona par jata hai
muddat pehle maar diya tha hum ko yaar k sogaan

do roohon ki yaktayi ko jhela karb musalsal
dard muqadar kar daala hai roohon k sanjogaan

do dil walon ki khwakhish ko kon samjhne wala
peron main ronda chahat ko in be dardi logaan

kisi be dheyani mein khoo k mujh ko ganwa nahi

kisi be dheyani mein khoo k mujh ko ganwa nahi
main tera naseeb e azal hon ab ye bhulaa nahi

mere seenay lag k bohot hi roye ga der tk
abi raabta tere gham ka muj se hua nahi

tere sogawaar diye sukoon se soo gaye
main wohi hon akhri deep e gham jo bujha nahi

mera sath dena hai gar to hath ko thaam le
muje lambi lambi kahaniyan to sunaa nahi

jo main harf harf main dard bhi na samoo sakon
to yeh jhoot moot hai shayeri, yeh ataa nahi

abi ishq main koi mojaza nahi ho raha
muje aainay mian tumhara chehra dikha nahi

tuje is liye hi to zain chorr k wo gya
k tu ab ki baar jo be wakoof bana nahi

main kisi ko kuch bhi na de sakon ga hareem e jan
k tere siva mere pas kuch bhi bacha nahi

mere zayechay main milan bhi uska nahi likha?
ae najoomi tujh se hisaab theek laga nahi

main kisi ko kuch bhi na de sakon ga hareem e jan
k tere siva mere pas kuch bhi bacha nahi

kab tumhari misaal chahta hon

kab tumhari misaal chahta hon
bs tumhara khyaal chahta hon

aa k muj se jawab le kabhi to
main b koi sawaal chahta hon

kya ajab hon k ro saka nahi main
aor ankhen bhi laal chahta hon

gham ka poda sa aik ug raha hai
us ki bas dekh bhaal chahta hon

tere bikhray huye main ab meri jaan
apne shaanon pe baal chahta hon

kha raha hai yakeen ko ajab sa gumaan boltay kiyun nahi

kha raha hai yakeen ko ajab sa gumaan boltay kiyun nahi
jal raha hai yeh dil uth raha hai dhuan, boltay kiyun nahi

ik sawali tha shab bhar sakhi ka jo dar khatkhatata raha
aor kehta raha saahib e aastan, boltay kiu nahi

ik zamana tha sar pe uthatay thay aor choomtay thay qadam
ab tumhari himayet main wo aasman, boltay kiyun nahi

kab talak sheher walon k, main in sawalon se tanha larron
kis liye chup kharay ho yeh tum meri jaan, boltay kiyun nahi

wo jo mere liye apna sab kuch lutanay ko tayyar thay
ab kahan hain sabhi wo mere mehruban, boltay kiyun nahi

loag peron talay rond detay hain aor dekhtay bhi nahi
zain ji bolna ho jahan tum wahan, boltay kiyun nahi

hamain shikwa to hai is zindgi ka

hamain shikwa to hai is zindgi ka
kaho ab kya karen is be dilli ka

abi poori hui kab baat pichli
sawaal utha tumhari be rukhi ka

hamari umr per phela hua hai
kisi ka sath tha bas do ghari ka

sabhi chehron pe hai ik moat chayi
zamana hi nahi zinda dilli ka

tumharay bin hui barbaad kitni
muje afsos hai teri gali ka

ganwa betha tumhen madhoshiyon main
janaza parh raha hu be khudi ka

muje khuddariyon ne zain, maara
tamasha ban gya bechargi ka

Badal de Dil ki duniya dil badal de

Badal de Dil ki duniya dil badal de
Mera Ghaflat mein dooba dil badal de

Hawa o Hirs wala dil badal de
Mera Ghaflat mein dooba dil badal de

Badal de Dil ki duniya dil badal de
Khudaya Fazl farmaa dil badal de

Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal de Mera rasta dil badal de

Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal de

Hataaloun aankh apni Maasiwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal de

Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal de

Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal de

Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal de

Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal de

Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal de

Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal de

Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal de

jab bhi tum chaho mujhe zakhm naya detay raho

jab bhi tum chaho mujhe zakhm naya detay raho
baad mein phir mujhe sehne ki dua detay raho

theek se soch samjh kar Mujhe rukhsat karna
yeh na ho baad main ro ro k sadaa detay raho

acha naa maan liya ishq khata hai meri
jese tum chaho main haazir hon saza detay raho

chorr jao gay to ro dho k sambhal jaon ga
pass reh kar Mujhe gham hadd se sivaa detay raho

rooth kar wo jo tumhain khud hi mana leta hai
zain tum us ko dua sab se juda detay raho

kon sunay ga kook ri koyel

kon sunay ga kook ri koyel
chup ho jaa mat hook ri koyel

log karen hum masoomon se
kitna sakht salook ri koyel

us ki khatir kar chorri hai
dunia bhi matrook ki koyel

zulfen thandi chaon jesi
us k nain malook ri koyel

tak tak us ko mitti nahi
in nainan ki bhook ri koyel

sheher se door bason sheher basanay k liye

sheher se door bason sheher basanay k liye
main ne kya soch liya umr bitanay k liye

yeh bhi andaz hai ik paas e wafa ka janan
tujh ko har baat batata hon chupanay k liye

yaad atay ho to dukhti hai rag e jaan pal pal
ab to loat Aao mujhe yaad na anay k liye

wo khudawand jahanon main to aa sakta nahi
aor aata hai to bas dil mein samanay k liye

wo bhi kya loag hain ehsaas o junoon se aari
shair kehtay hain faqat naam kamanay k liye

maan jata hai to seenay se lipat jata hai
so main naraz karon us ko mananay k liye

zain shayed mujhe is torr qaraar aajaye
wo agar loat k ajaye na janay k liye

jab bhi bechain hua karta hon

jab bhi bechain hua karta hon
apni haalat pe hansa karta hon

itna aasan to nahi bujh jana
is liye kam hi jala karta hon

sochta hon main tujhay har lamha
tujh pe ehsaan kiya karta hon

aik kamray main basa li dunia
shehr main kam hi dikha karta hon

tu to hans hans k chala jata hai
main pareshan raha karta hon

ab main aksar hi kayi logon se
apne baray main suna karta hon

zain wo kuch bhi nahi keh paata
main bhi chup chaap raha karta hon

Kab tumhein ishq pe majboor kiya hai humne

Kab tumhein ishq pe majboor kiya hai humne

Hum to bas yaad dilate hain chale jate hain

Kitabon se hawaala dun ya tujh ko saamne rakh dun

Kitabon se hawaala dun ya tujh ko saamne rakh dun

Wo mujhse puch baithe hein Namuna kis ko kehte hain

kitni roohani muhabbat hai na mere durvesh

ik tere khwab se jab bhi kabhi jagon roun
phir tere baray kaheen beth k sochon roun

aisay ho jaye mere gham ka madava shayed
teri banhon main kabhi toot k bikhron roun

kitni roohani muhabbat hai na mere durvesh
main k jab jab bhi dua main tujhay mangon roun

meri ankhen hain mere ashk hain meri marzi
masala kya hai tumhain jab bhi main chahon roun

us ki khwakhish ye sajaon ga Aajayeb ghar main
main usay chorr k jata hua dekhon roun

kash k khud ko sirf tumhara likhta main

Chahat ka har sood khasara likhta main
kya paya kya khoya saara likhta main

tujh jesa jab aor nahi hai koi to
kyun phir aor kisi ko pyara likhta main

kese apne dard bhula kar loat Aaya
tu ne jese muje pukara likhta main

main ne dukh nazmon mein likhna chorr diye
us ko tha per yehi gawara likhta main

pehle keh detay gar khel samjhtay thay
jaa tu jeeta jaa main haara likhta main

likhta rehta subh o shaam teri baten
jee na bharta phir dobara likhta main

dukh bhi aakhir apne hi to hotay hain
kash k khud ko sirf tumhara likhta main

tu ne aakhir rula diya mujh ko

tu ne aakhir rula diya mujh ko
qehqahon main urra diya mujh ko


main to har morr per muyassar tha
tu ne kese ganwa diya mujh ko


mere andar tujhay nahi phoonka
baqi sara bana diya mujh ko


ab ugalta hon sans leta hon
zeher itna pila diya mujh ko


yaad rakha tha muddaton us ne
bas achanak bhula diya mujh ko


tu bhi aakhir zamanay jesa hai
apna chehra dikha diya mujh ko

Apni ruswai tere naam ka charcha Dekhon

Apni ruswai tere naam ka charcha Dekhon
Ek Zara sher kahon or mein kya kya Dekhon

Neend aa jaye to kya mahfil e barpa Dekhon
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra Dekhon

Shaam ho gai dhundla gai aankhe bhi Meri
Bhulne wale me kab tak tera rasta Dekhon

Ek ek kar ke mujhe chor gai sb sakhiyan
Aaj mein khud ko Teri yaad mein tanha Dekhon

Kaash sandal se Meri maang ujale aakr
Itne gairon mein wahi Haath Jo apna Dekhon

Tu mera kuch nahi Lagta Magar Jan e hayaat
Jane kyun tere liye dil ko dharkta Dekhon

Band kar ke Meri aankhein wo shrarat se hansa
Bujhe Jane ka mein Har rooz tamasha Dekhon

Sab ziden uski mein puri karon har baat suno 
Ek bachche ki tarhan se use hansta Dekhon

Mujhbpe chaa jaye wo barsat ki khushbu ki tarhan 
Ang Ang apna usi rut me mahekta Dekhon

Phool ki tarhan mere jisam ka har labb khil jaye
Pankhuri Pankhuri Un hoonto ka saya Dekhon

Mene jis lamhe ko pooja hai use bs ek baar
Khwab ban kar Teri aankhon mein utarta Dekhon

Tu Meri tarhan se dekhta hai Magar mere Habib
Jee mein aata hai koi or bhi tujh sa Dekhon

Toot jaye k Pighal jaye mere kache ghare
Tujh ko mein Dekhin k ye aag ka dariya Dekhon

Zehan mein uljhe hue they Reshmi dhaage bohat

Zehan mein uljhe hue they Reshmi dhaage bohat

Raat hum tarpe bohat Roye bohat Jaage bohat

If your birthday is January ..say hi

If your birthday is January ..say hi
If your birthday is February.. say uff
If your birthday is march say..hello
If your birthday is April say ..I am cute
If your birthday is may say ..gorgues
If your birthday is June say.. Sweet
If your birthday is july say...lush
If you birthday is August say..nice
If your birthday is September say..best
If your birthday October say good
If your birthday is November say baby
If your birthday is December say ..beautiful

Pehli mohabbat Purane muqaddame ki tarah hoti hai

Pehli mohabbat 
Purane muqaddame ki tarah hoti hai

Na khatam hoti hai
Na insan ba izzat bari hota hai

Be shomar logo mein mat shomar ho jana

Be shomar logo mein mat shomar ho jana
Mat hamari aankhon ka intezar ho jana

Tum ne kis tarhan sikha bekarar ho jana
Eik ilteja sun lo Tum meri Mohabbat ka itebar ho jana

Zeest na mokammal hai loat kar chale aana
Aur meri duniya mein be shomar ho jana

Is liye yehi tum se bar bar kehta hon
Be shomar logo mein mat shomar ho jana

Mohabbat mein jo behte hain

Ae Mere kam sukhan sathi
Tumhain shayad khabar ho gi

Mohabbat mein jo behte hain
Wo Aanso khushk hote hain

Kaghaz ki ye mehak ye nasha rothne ko hai

Kaghaz ki ye mehak ye nasha rothne ko hai

Ye aakhri sadi hai kitabon se ishq ki

Mujhe Saanso ki hai thorr piya

Mujhe Saanso ki hai thorr piya
Mera sath abhi mat chor piya

Kari minnat zaari tarlay sab
Main ne hath diye hain jhorr piya

Meri Aankhein ro ro khak hoi
Mere ashk na aise rorr piya