Search Poetry
Admin : Adding Sana to the whatsapp group.
Admin : Adding Sana to the whatsapp group.
Ibrahim : Hi Sana welcome to the group.
Sana : Hi guys am new to the city
Mustafa : Hi Sana dont worry , am there...any problems i will be the solution
Irfan : Hi Sana.. tell me if you have any problem, will arrange a solution for u
Hafeez : Hi Sana, if you need anything tell me, it will be arranged.
Akbar : Hi Sana mera bhai Hyderabad me hee hai , koi bhi problem ho i will manage it for you..
Sana : Thanx guys for your support
Akber : Sana whats your full name..
Sana : Sana Ullah Khan.
Mustafa left
Akber left
Hafeez left
Irfan left
Ibrahim left
Admin left...
Sana is the admin now
kiya karon dard kam nahi hota
door manzil hai raah guzar tanha
rasata khatam hi nahi hota
raza raza hein khawab ankhon mein
kaisay kah don k ghum nahi hota
koi shikwa nahi magar Maula
koi shikwa nahi magar Maula
kiya karon dard kam nahi hota
kiya karon dard kam nahi hota
zindagi k udas lamhon mein
tari yadoon ka sayaban to hai
tara Ehsas tari khushboo hai
mere apno ka aik maan to hai
ya charago ko kya bujhayein gi
k hawaon mein dam nahi hota
koi shikwa nahi magar Maula
koi shikwa nahi magar Maula
kiya karon dard kam nahi hota
kiya karon dard kam nahi hota
kiya kahein kis tarhan guzari hai
zindagi tujh ko jee k dekh liye
mere zakhmon ki baat karte ho
ye zehar hum ne pee k dekh liya
kia kisi se gila kare koi
toba mayil karaam nahi hota
koi shikwa nahi magar Maula
koi shikwa nahi magar Maula
kiya karon dard kam nahi hota
kiya karon dard kam nahi hota
Video Song
https://www.facebook.com/MuratHayatSong/videos/1935778373360729/
Video Song
https://www.facebook.com/MuratHayatSong/videos/1935778373360729/
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De
Jo Mere Saare Gunahon Ka Madava Kar De
Saari Duniya Se Chura Kar Mujhe APNA kar De
Meri Mitti Ko Khudaya Sona Kar De
Main Tera Chahne Wala Hun Magar Hai Hasrat
Jin ko TU Chahta hai Mujh Ko Bhi Vaisa kar De
Ek Nazar Apne Gunahgaar Pe Kar Ke MOULA
Apni Rehmat Ka Haqdaar Hamesha kar De
Tu Shaheen Hai Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Tere Sofe Hain Afarangi, Tere Qaleen Hain Irani
Lahoo Mujh Ko Rulati Hai Jawanon Ki Tan Asani
Amarat Kya, Shikoh-e-Khusrawi Bhi Ho To Kya Hasil
Na Zor-e-Haidari Tujh Mein, Na Istaghna-e-Salmani
Na Dhoond Iss Cheez Ko Tezeeb-e-Hazir Ki Tajali Mein
Ke Paya Man Ne Istaghna Mein Meeraj-e-Musalmani
Auqabi Rooh Jab Baidar Hoti Hai Jawanon Mein
Nazar Ati Hai Iss Ko Apni Manzil Asmanon Mein
Na Ho Naumeed, Naumeedi Zawal-e-Ilm-o-Irfan Hai
Umeed-e-Mard-e-Momin Hai Khuda Ke Raazdanon Mein
Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein
Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho
Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
Ke Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein
Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan
Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein
Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein
ae hamala! ae faseel e kishwar e hindustan
ae hamala! ae faseel e kishwar e hindustan
choomta ha teri paishani ko jhuk ker aasman
tujh mein kuch paida nahin derina rozee ke nishan
tu jawan hai gardish e sham o saher ke darmiyan
aik jalwa tha kaleem e toor e sina ke liye
tu tajali hai sarapa chasm e beena ke liye
imtihan e didah zahir mein kohistan hai tu
pasban apna hai tu, dewar e hindustan hai tu
matla e awwal falak jis ka ho vo diwan hai tu
suay khilwat gah e dil daman kash e insan hai tu
barf ne bandhi hai dastar e fazilat tere sar
khanda zan hai kalah e meher e aalam taab par
teri umar e rafta ki ek aan hai ehad e kuhan
wadiyon mein hain teri kali ghataen khema zan
chotiyan teri surayya se hain sargaram e sukhan
tu zameen per aur pehna e falak tera watan
chasma e daman tera aaeena siyyal hai
daman e mouj e hawa jis ke liye rumal hai
abar ke hathon mein rahwar e hawa ke waste
taziyana de diya barq e sar e kohsar ne
Ae hamala koi bazi gah hai tu bhi, jise
dast e qudrat ne banaya hai aanasir ke liye
haye kya firat e tarab mein jhoomta jata hai abar
feel e be zanjeer ki surat ura jata hai abar
junbish e mouj e naseem e subah gehwara bani
jhoomti hai nasha e husti mein har gul ki kali
yun zuban e berg se goya hai iss ke khamshi
dast e gulcheen ki jhatak mein ne nahin dekhi kabhi
keh rahi hai meri khamoshi hi afsana mera
kunj e khalwat khana e qudrat hai kashana mera
aati hai nadi faraz e koh se gati huwi
kausar o tasneem ki moujon ko sharmati huwi
aaeena sa shahid e qudrat ko dikhlati huwi
sang e reh se gah bachti gah takrati huwi
chairti ja iss iraq e dil nasheen ke saaz ko
ae musafir dil samjhta hai teri awaz ko
laila e shab kholti hai aa ke jab zulf e rasa
daman e dil khenchti hai aabsharon ke sada
vo khamoshi sham ki jis per takalum ho fida
vo darkhton per tafakkur ka saman chaya huwa
kanpta phirta hai kya rang e shafaq kohsar per
khushnuma lagta hai ye ghazah tere rukhsar per
ae hamala! dastan uss waqt ki koi suna
maskan e aabaay insan jab bana daman tera
kuch bata uss seedhi sadi zindagi ka majra
dagh jis par ghaza rang e takalluf ka na tha
Haan dikha de ae tasawwar phir woh subah o sham tu
dorh piche ki taraf ae ghardish e ayyam tu
Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
Magar Hai Iss Se Ye Mumkin Ke Tu Badal Jaye
Teri Khudi Mein Agar Inqilab Ho Paida
Ajab Nahin Hai Ke Ye Char Soo Badal Jaye
Wohi Sharab, Wohi Haye-o-Hoo Rahe Baqi
Tareeq-e-Saqi-o-Rasm-e-Kadoo Badal Jaye
Teri Dua Hai Ke Ho Teri Arzoo Puri
Meri Dua Hai Teri Arzoo Badal Jaye
teergi main bhi roshni hai naa
teergi main bhi roshni hai naa
jo bhi hai, dard dayemi hai naa
is qadar be takallufi toba
sach batao yeh dil lagi hai naa?
main jisay yaad ata rehta hon
wo mera dost matlabi hai naa!
us ne badli hui hain ankhen bhi
us k lehjay main barhami hai naa!
tu ne bola hai, han bicharna hai
"han" ka matlab hansi khushi hai naa?
meri ankhon main jo bhi hai choro
mere seenay main be kalli hai naa!
tujh se le kar tujhi talak hai bas
meri itni c zindgi hai naa!
to kaho aaj kya irada hai?
aaj ki shaam surmayi hai naa!
khamshi! kiua tujhay ganwaon main?
tu muje vajd main mili hai naa!
shayeri, dard, be baha chahat
ab mere pas bas yehi hai naa!
ab tere aor mere bicharnay ka
fesla bhi to baahmi hai naa!
ab muje yaad to na ao gay?
yaani yeh hichki akhri hai naa
phatay huye libas se ye shakhsiyat na toliye
phatay huye libas se ye shakhsiyat na toliye
khuda ka khoaf khaiye na bad kisi ko boliye
koi daleel moatabar nahi hai ishq samne
muhabbaton ki jheel main yu zeher to na kholiye
udas hia nazar to rooh main bhi ik fishaar hai
ujjar chukay bohot hamain mazeed to na roliye
hai jism o jan ko das raha yeh silsila sakoot ka
huzoor ap chup kharay hain kiu? labon ko kholiye!
ye kya k raqs e khamshi rahay hamaray chaar soo
zara sama'aton main ras muhabbaton k gholiye
jo das gaye, to ab ye apne aap per malaal hai
k paltay rahay thay aasteen main hum sapoliye
dheyan uska aor hi taraf tha phir bhi janay kiu
wo muj se keh rahi thi, " jee main sun rahi hon boliye
tumhain ye zulm karna aagya hai
tumhain ye zulm karna aagya hai
muhabbat se mukarna aagya hai
wohi bas han wohi! karti thi jo tum
muje wo jadu karna aagya hai
khuda janay ye kese hogya per
muje dil main utarna aagya hai
batao aainay torray hain kitne
tumhain jo youn sanwarna aagya hai
tumhari aas main jeetay huye ab
hamain bhi roz marna aagya hai
wahan se ab guzarna par raha hai
jahan tum ko theherna aagya ha
muje bhi teri yadon ki gali main
khamoshi se bikharna aagya hai
dar e sakha bhi abhi tak tera khula hi nahi
dar e sakha bhi abhi tak tera khula hi nahi
hamaray lab pe to youn bhi koi dua hi nahi
hamain to aik usi ki talab hi jati nahi
k jiska aik muhabbat pe uktifa hi nahi
abi ye loag magan hain haroof tolne main
abhi to sheher ne lehja mera suna hi nahi
muje to youn bhi meri jaa se azeez ho tum
yeh baat alag hai koi tum sa dil ruba hi nahi
bas aik chora sa aangan, tumhari yaad aor main
mere makan main udaai ki intihaa hi nahi
bichar k muj se wo shayed bohot udaas rahay
kabhi main pehel usay chor kar gya hi nahi
wo chahta hai k bas us ki dastaras main rahon
usi k lab pe mere naam ki sadaa hi nahi
usay ab apne hi hathon ganwa k sochtay hain
hamara us k ilawa to koi thaa hi nahi
Youn kahani to sunani nahi ati mujh ko
Youn kahani to sunani nahi ati mujh ko
Kya karon? Baat ghumani nahi ati mujh ko
Kar diya kartay hain aansu mere gham ko zaahir
Ik nishani bhi chupani nahi ati mujh ko
Ishq kartab to nahi hai mere masoom sifat
Jheel main aag lagani nahi ati mujh ko
Tum bhi ab din ma mulaqaat ki zehmat karna
Chaandni raat churaani nahi ati mujh ko
Apni janib tujhay kis dhab se karon ga mayel
Ik tawajja bhi dilani nahi ati mujh ko
WO jo pehle bhi batatay huye dil darta tha
Ab bhi wo baat batani nahi ati mujh ko
Din nikalne ko hai so jao khudara ab to
Koi pariyon ki kahani nahi ati mujh ko
Subscribe to:
Posts (Atom)