Search Poetry
sisak raha tha mera ik sawal tu chup tha
sisak raha tha mera ik sawal tu chup tha
raha tha dil ma yehi ik malal tu chup tha
udas karti gayeen wo teri udas ankhen
main poochta bhi raha haal chaal tu chup tha
main jab buland raha tu bhi hamkalam raha
so muj pe aan para jab zawaal tu chup tha
jo tera saani muje mil gya to shikwa kiu?
main dhoondta tha teri jab misaal tu chup tha
ab apne dard ka kiu kar dhandora peet'ta hai
main kar raha tha jo tab indamaal tu chup tha
mera dareeda badan dekh kar a ab rona
kaha tha kar le meri dekh bhaal tu chup tha
mere badan k tuje zakhm ab satatay hain
main dukh ki orhay huye jab tha shaal tu chup tha
tuje hi shaam o sahar ka hisaab detay huye
guzar gya tha mera aik saal tu chup tha
ye tere aor mere rabt k mitanay ko
zamana chalta raha aik chaal tu chup tha
hum ko to be haal kiya tha ishq k beri jogaan
hum ko to be haal kiya tha ishq k beri jogaan
kesi kesi baat bana li sheher k saray logaan
nazuk nazuk kam sin jindri, barson lambay sadmay
bin dekhay, bin sochay samjhay hashr uthaya rogaan
ab jo hans bhi dein to pehron rona par jata hai
muddat pehle maar diya tha hum ko yaar k sogaan
do roohon ki yaktayi ko jhela karb musalsal
dard muqadar kar daala hai roohon k sanjogaan
do dil walon ki khwakhish ko kon samjhne wala
peron main ronda chahat ko in be dardi logaan
kisi be dheyani mein khoo k mujh ko ganwa nahi
kisi be dheyani mein khoo k mujh ko ganwa nahi
main tera naseeb e azal hon ab ye bhulaa nahi
mere seenay lag k bohot hi roye ga der tk
abi raabta tere gham ka muj se hua nahi
tere sogawaar diye sukoon se soo gaye
main wohi hon akhri deep e gham jo bujha nahi
mera sath dena hai gar to hath ko thaam le
muje lambi lambi kahaniyan to sunaa nahi
jo main harf harf main dard bhi na samoo sakon
to yeh jhoot moot hai shayeri, yeh ataa nahi
abi ishq main koi mojaza nahi ho raha
muje aainay mian tumhara chehra dikha nahi
tuje is liye hi to zain chorr k wo gya
k tu ab ki baar jo be wakoof bana nahi
main kisi ko kuch bhi na de sakon ga hareem e jan
k tere siva mere pas kuch bhi bacha nahi
mere zayechay main milan bhi uska nahi likha?
ae najoomi tujh se hisaab theek laga nahi
main kisi ko kuch bhi na de sakon ga hareem e jan
k tere siva mere pas kuch bhi bacha nahi
kab tumhari misaal chahta hon
kab tumhari misaal chahta hon
bs tumhara khyaal chahta hon
aa k muj se jawab le kabhi to
main b koi sawaal chahta hon
kya ajab hon k ro saka nahi main
aor ankhen bhi laal chahta hon
gham ka poda sa aik ug raha hai
us ki bas dekh bhaal chahta hon
tere bikhray huye main ab meri jaan
apne shaanon pe baal chahta hon
kha raha hai yakeen ko ajab sa gumaan boltay kiyun nahi
kha raha hai yakeen ko ajab sa gumaan boltay kiyun nahi
jal raha hai yeh dil uth raha hai dhuan, boltay kiyun nahi
ik sawali tha shab bhar sakhi ka jo dar khatkhatata raha
aor kehta raha saahib e aastan, boltay kiu nahi
ik zamana tha sar pe uthatay thay aor choomtay thay qadam
ab tumhari himayet main wo aasman, boltay kiyun nahi
kab talak sheher walon k, main in sawalon se tanha larron
kis liye chup kharay ho yeh tum meri jaan, boltay kiyun nahi
wo jo mere liye apna sab kuch lutanay ko tayyar thay
ab kahan hain sabhi wo mere mehruban, boltay kiyun nahi
loag peron talay rond detay hain aor dekhtay bhi nahi
zain ji bolna ho jahan tum wahan, boltay kiyun nahi
hamain shikwa to hai is zindgi ka
hamain shikwa to hai is zindgi ka
kaho ab kya karen is be dilli ka
abi poori hui kab baat pichli
sawaal utha tumhari be rukhi ka
hamari umr per phela hua hai
kisi ka sath tha bas do ghari ka
sabhi chehron pe hai ik moat chayi
zamana hi nahi zinda dilli ka
tumharay bin hui barbaad kitni
muje afsos hai teri gali ka
ganwa betha tumhen madhoshiyon main
janaza parh raha hu be khudi ka
muje khuddariyon ne zain, maara
tamasha ban gya bechargi ka
Badal de Dil ki duniya dil badal de
Badal de Dil ki duniya dil badal de
Mera Ghaflat mein dooba dil badal de
Hawa o Hirs wala dil badal de
Mera Ghaflat mein dooba dil badal de
Badal de Dil ki duniya dil badal de
Khudaya Fazl farmaa dil badal de
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal de Mera rasta dil badal de
Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal de
Hataaloun aankh apni Maasiwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal de
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal de
Sehal farmaa musalsal yaad apni
Khudaya Reham farmaa dil badal de
Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal de
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal de
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal de
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal de
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal de
jab bhi tum chaho mujhe zakhm naya detay raho
jab bhi tum chaho mujhe zakhm naya detay raho
baad mein phir mujhe sehne ki dua detay raho
theek se soch samjh kar Mujhe rukhsat karna
yeh na ho baad main ro ro k sadaa detay raho
acha naa maan liya ishq khata hai meri
jese tum chaho main haazir hon saza detay raho
chorr jao gay to ro dho k sambhal jaon ga
pass reh kar Mujhe gham hadd se sivaa detay raho
rooth kar wo jo tumhain khud hi mana leta hai
zain tum us ko dua sab se juda detay raho
sheher se door bason sheher basanay k liye
sheher se door bason sheher basanay k liye
main ne kya soch liya umr bitanay k liye
yeh bhi andaz hai ik paas e wafa ka janan
tujh ko har baat batata hon chupanay k liye
yaad atay ho to dukhti hai rag e jaan pal pal
ab to loat Aao mujhe yaad na anay k liye
wo khudawand jahanon main to aa sakta nahi
aor aata hai to bas dil mein samanay k liye
wo bhi kya loag hain ehsaas o junoon se aari
shair kehtay hain faqat naam kamanay k liye
maan jata hai to seenay se lipat jata hai
so main naraz karon us ko mananay k liye
zain shayed mujhe is torr qaraar aajaye
wo agar loat k ajaye na janay k liye
jab bhi bechain hua karta hon
jab bhi bechain hua karta hon
apni haalat pe hansa karta hon
itna aasan to nahi bujh jana
is liye kam hi jala karta hon
sochta hon main tujhay har lamha
tujh pe ehsaan kiya karta hon
aik kamray main basa li dunia
shehr main kam hi dikha karta hon
tu to hans hans k chala jata hai
main pareshan raha karta hon
ab main aksar hi kayi logon se
apne baray main suna karta hon
zain wo kuch bhi nahi keh paata
main bhi chup chaap raha karta hon
kitni roohani muhabbat hai na mere durvesh
ik tere khwab se jab bhi kabhi jagon roun
phir tere baray kaheen beth k sochon roun
aisay ho jaye mere gham ka madava shayed
teri banhon main kabhi toot k bikhron roun
kitni roohani muhabbat hai na mere durvesh
main k jab jab bhi dua main tujhay mangon roun
meri ankhen hain mere ashk hain meri marzi
masala kya hai tumhain jab bhi main chahon roun
us ki khwakhish ye sajaon ga Aajayeb ghar main
main usay chorr k jata hua dekhon roun
kash k khud ko sirf tumhara likhta main
Chahat ka har sood khasara likhta main
kya paya kya khoya saara likhta main
tujh jesa jab aor nahi hai koi to
kyun phir aor kisi ko pyara likhta main
kese apne dard bhula kar loat Aaya
tu ne jese muje pukara likhta main
main ne dukh nazmon mein likhna chorr diye
us ko tha per yehi gawara likhta main
pehle keh detay gar khel samjhtay thay
jaa tu jeeta jaa main haara likhta main
likhta rehta subh o shaam teri baten
jee na bharta phir dobara likhta main
dukh bhi aakhir apne hi to hotay hain
kash k khud ko sirf tumhara likhta main
tu ne aakhir rula diya mujh ko
tu ne aakhir rula diya mujh ko
qehqahon main urra diya mujh ko
main to har morr per muyassar tha
tu ne kese ganwa diya mujh ko
mere andar tujhay nahi phoonka
baqi sara bana diya mujh ko
ab ugalta hon sans leta hon
zeher itna pila diya mujh ko
yaad rakha tha muddaton us ne
bas achanak bhula diya mujh ko
tu bhi aakhir zamanay jesa hai
apna chehra dikha diya mujh ko
Apni ruswai tere naam ka charcha Dekhon
Apni ruswai tere naam ka charcha Dekhon
Ek Zara sher kahon or mein kya kya Dekhon
Neend aa jaye to kya mahfil e barpa Dekhon
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra Dekhon
Shaam ho gai dhundla gai aankhe bhi Meri
Bhulne wale me kab tak tera rasta Dekhon
Ek ek kar ke mujhe chor gai sb sakhiyan
Aaj mein khud ko Teri yaad mein tanha Dekhon
Kaash sandal se Meri maang ujale aakr
Itne gairon mein wahi Haath Jo apna Dekhon
Tu mera kuch nahi Lagta Magar Jan e hayaat
Jane kyun tere liye dil ko dharkta Dekhon
Band kar ke Meri aankhein wo shrarat se hansa
Bujhe Jane ka mein Har rooz tamasha Dekhon
Sab ziden uski mein puri karon har baat suno
Ek bachche ki tarhan se use hansta Dekhon
Mujhbpe chaa jaye wo barsat ki khushbu ki tarhan
Ang Ang apna usi rut me mahekta Dekhon
Phool ki tarhan mere jisam ka har labb khil jaye
Pankhuri Pankhuri Un hoonto ka saya Dekhon
Mene jis lamhe ko pooja hai use bs ek baar
Khwab ban kar Teri aankhon mein utarta Dekhon
Tu Meri tarhan se dekhta hai Magar mere Habib
Jee mein aata hai koi or bhi tujh sa Dekhon
Toot jaye k Pighal jaye mere kache ghare
Tujh ko mein Dekhin k ye aag ka dariya Dekhon
If your birthday is January ..say hi
If your birthday is January ..say hi
If your birthday is February.. say uff
If your birthday is march say..hello
If your birthday is April say ..I am cute
If your birthday is may say ..gorgues
If your birthday is June say.. Sweet
If your birthday is july say...lush
If you birthday is August say..nice
If your birthday is September say..best
If your birthday October say good
If your birthday is November say baby
If your birthday is December say ..beautiful
Be shomar logo mein mat shomar ho jana
Be shomar logo mein mat shomar ho jana
Mat hamari aankhon ka intezar ho jana
Tum ne kis tarhan sikha bekarar ho jana
Eik ilteja sun lo Tum meri Mohabbat ka itebar ho jana
Zeest na mokammal hai loat kar chale aana
Aur meri duniya mein be shomar ho jana
Is liye yehi tum se bar bar kehta hon
Be shomar logo mein mat shomar ho jana
Tum jeeto ya haaro Suno
Hum ne dekha
Tumharay bats par koi sticker nahi hai tumhein kisi nay sponsor nahi kiya.
Hum dekhte hein, tum hamari galiyon mein Cricket nahi khel sakti tum yahan khul kar practise nahi kar sakti.
Humein pata hai, hamara muashra bura maan jaata hai. Humein andaza hai, tum yahan tak apnay ghar waalon se larr kar puhanchi ho.
Humein pata hai tumhein koi puchta nahi, magar tum phir bhi Subz Halali Parcham ke liye khelti ho.
Humne dekha hai.
Hum jaantay hein,
hamari awaam intezar mein hoti hai ke tum haaro aur unko baatein bananay ka mauka milay.
Magar humne yeh bhi dekha hai ke tum himmat nahi haarti,
tum DIL se khelti ho aur yahan DIL DIL PAKISTAN hai. Beshak, har asaani se pehle mushkil hai.
Aaj tumhara waqat nahi, lekin kal tumhara zamana zaroor aayega.
Tum PAKISTAN ho, tum hamari Pechan ho.
Tum jeeto ya haaro Suno
humein tumse pyaar hai
And yes, well played Team India!
Thanks to Bonanza Satrangi for taking a bold step and sponsoring the kits of our team.
Win, lose or tie. Green till I die
Aao ab rasam e mohabbat yon nibhai jaye
Aao ab rasam e mohabbat yon nibhai jaye
bich diwar jo aaye wo giraai jaye
martaba naam hai kia zaat se kia lena hai
shart rishton mein wafaon ki hi lagai jaye
khush guma ho k milein gair se har apne se
kuch nazar aaye burai to sudari jaye
hoon gay majbor jo yun chor chale jate hain
jane walon se ye tohmat bhi hatai jaye
dil bhola de jo aadawat aur aanayein apni
raah bichron ki bhi aasan banai jaye
aaj hasrat se jo aankhon k diye bhojte hain
ek umeed nai in mein jalai jaye
ab k uthre Ae Khuda chaand yon har aangan mein
zindagi eid ki manind manaai jaye
apni duniya se nikal aao agar tum Abrak
eik duniya yahan ab mil k banai jaye
Kabhi aati thi chaand chehre liye
Kabhi aati thi chaand chehre liye
Eid khushbo haseen savere liye
Eid qissa hai us zamane ka
log marte the mere Mere liye
gaye roshan jahan mein sab apne
aur bethe hain hum aandhere liye
kisne socha tha yon bhi hona hai
panchi urh jayein gay basere liye
mar gaye hum to kab k in k liye
dhoond mein jin ki lakh pehre liye
tujh sa duniya kahan raqeeb koi
sab ne chora hai sab ko tere liye
Eid par hai yehi guman Abrak
waqat palte ga phir wo daire liye
Jo dil Nasheen the hum ko ishare badal gaye
Jo dil Nasheen the hum ko ishare badal gaye
Andaz dekhne k tumhare badal gaye
dete sabak the hum ko wafaon ka har ghari
kyun meherban hamare wo pyare badal gaye
jin ko samajh raha tha k hain qafla mera
mushkil mein apna rasta wo sare badal gaye
ek umar dhoob kar jo kabhi parr hum lage
umeed jin se thi wo kinare badal gaye
rehte the jin k bich kabhi chaand ki tarhan
toota yon asman k wo tare badal gaye
jis ankh se tha sikha in aankhon ne bolna
us k bhi yak ba yak hi ishare badal gaye
kitna bhi soch lijeye magar faisala na ho
nazrein badal gai ya nazare badal gaye
ilzam waqat par bhi to kuch dijiye janab
sab naam le k jis ka hamare badal gaye
un se jawab chahiye Abrak hamain ye bas
kab larkharaye hum k sahare badal gaye
Batao kon kehta hai mohabbat bas kahani hai
Batao kon kehta hai mohabbat bas kahani hai
Mohabbat to sahifa hai Mohabbat asmani hai
Mohabbat ko khudara tum kabhi bhi jhoot mat samjho
Mohabbat mojza hai mojzon ki tarjomani hai
Mohabbat phool ki khushbo Mohabbat Titliyon ka rang
Mohabbat parbaton ki jheel ka shaffaf pani hai
Mohabbat ek sitara hai Wafa ka istekhara hai
Mohabbat seep ka moti Behar ki bekarani hai
Mohabbat roshni hai rang hai khushbo hai nagma hai
Mohabbat urhta panchi hai Mohabbat behta pani hai
Mohabbat haq ka kalma hai Mohabbat chasni maan ki
Mohabbat Rooh ka marham Dilon ki hukumrani hai
Mohabbat to aazal se hai Mohabbat to Aabad tak ho gi
Mohabbat to aafaqi hai Zamani na makani hai
Fana ho jaye gi duniya Fana ho jayein gay Hum Tum
Faqat baki Mohabbat hai Mohabbat jadawani hai
Aur Zindagi Tujhe Kiya Kahon
Aur Zindagi Tujhe Kiya Kahon
Jeevan Mera Kyun Hai Rakh Hua
Kaisa Silsila Mere Saath Hua
Kabhi Hai Khushi Kabhi Hai Ghum Bhara
Tujhe Dhonte Howe Dil
Ab Ho Gaya Hai BeDil
Or Dharkano Mein Gham Ki Kaanch Hai
Dhuan Dhuan Hain Aahen
Kyun Jal Rahi Nigahein
In Aankhon k Tale Kesi Aanch Hai
Yaahin Kahin Mein Hon Wahin
Jahan Dukhon Ki Raat Hai
Tu Raaha Panaha De
Ke Har Qadam Ghaat Hai
Meri Zaat Mein Hai Yeh Koi Hia Siyaahi
Ke Jo Chaha Main Ne Wo Mil Ke Na Mila
Na Hai Raasta Toota Wasta
Armano Ka Luta Hai kafila
Juda Juda Khafa Khafa
Kyun Khud Se Ho Gaye Hain Hum
Kyun Besabab Hain Mere Lab
Kyun Barh Rahe Mere Gham
Ye Jo Hai Andhera Hai Qasoor Mera
Is Beerh Mein Bhi Tanha Hain Hum Khare
Ab Rone Se
Mere Hone Se
Kuch Hona Hai To Hona Hai Bura
Titli Drama Full Ost Lyrics Memorable Lyrics
Subscribe to:
Posts (Atom)

















































